Friday, December 27, 2013

Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur (translated by Mustansir Dalvi)


Hai bas ki har ek unke ishaare mein nishaan aur
a Ghazal by
Mirza Ghalib

Hai bas ki har ek unke ishaare mein nishaan aur
Karte hai muhabbat to guzartaa hai ghumaan aur

Ya rab! Woh na samjhe hain na samjhenge meri baat
De aur dil unko jo na de mujhko zubaan aur

Aabroo se hai kya us nigaah-e-naaz ko paiwand
Hai teer mukarrar magar hai uski kamaan aur

Tum shehar mein ho to hamein kya gham jab uthenge
Le aayenge bazaar se jaakar dil-o-jaan aur

Har chand subak-dast hue but-shikni mein
Hum hai to abhi raah mein hai sang-e-giraan aur

Hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rota
Hote jo kaeen deedaa-e-khoon naab phishaan aur

Martaa hai us aawaaz pe har chand sar udd jaayein
Jallad ko lekin woh kahe jaaye ki ‘Haan aur!’

Logon ko hai khurshid-e-jahaantaab ka dhokaa
Har roz dikhaataa hoon main ek daag-e-nihaan aur

Letaa na agar dil tumhein detaa koi dum chain
Kartaa jo na martaa koi din aah-o-fughaan aur

Paate nahin jab raah to chad jaate hai naale
Rukti hai meri tab’h to hoti hai ravaan aur

Hai aur bhi duniyaa mein sukhanvar bahut achche
Kehte hain ke Ghaalib ka hai andaaz-e-bayaan aur



Ghalib’s felicity
a Ghazal translated by 
Mustansir Dalvi

Within every gesture
she secretes undertones.
Her love is eloquent, yet
once spoken, raises suspicion.

She has not and will not
even consent to hear me out;
give her more heart, O Lord,
even if you grant me no more voice.

Her reticence is enhanced
in every lowered glance.
The arrows are all in place
but her bow is elsewhere.

As long as you remain in town
I have not a care, for should
sorrows weigh heavily upon me
I will buy new life from the bazaar.

You may have deftness
in the art of breaking idols,
but look, I too remain resolute-
a stone that crosses your path.

My heart is rent and gushes blood
and I would weep aloud myself,
if only there lay scattered more
blood-rent eyes to witness my grief.

I would be ready to lose my head
at the mere sound of her voice;
yet as the executioner raises his blade
she screams Yes! Yes, she cries: ‘More!’

Rising daily, this world-warming sun
is a delusion everyone believes,
but I, for one, can break each day
afresh with a veil’d wound on display.

I could have spent some time in peace
had I not already given my heart to you;
I could have cried and lamented more
had I not already given up the ghost.

On not finding the easiest path
river waters rise to a deluge.
My own spirit, when obstructed
finds release somewhere else.

There may be more, even better
wordsmiths in this world, but
they say that Ghalib’s felicity
is quite unmatched, anywhere.



Translation and Transliteration © Mustansir Dalvi, 2013, All rights reserved.






















1 comment:

Redline said...

Thhanks great blog post